Pan card number me chhupi hai ye aham jankariya, aap bhi janiye kya hai unka mtlb
Pan card ek pahchan card hai jise Permanent Account Number bhi kahte hai, aaykar adhiniyam 139 A ke tahat pan card ko jari kiya jata hai.
agar apke pas PAN CARD hai to aapko uski ahmiyat ke bare me to pta hi hoga, permanent account number yahi pan card ka istemal aajkal sirf tax se jude kamo se liye hi nahi hota balki iska istemal kai anya chhote kamo ke liye kiya jata hai jise. koi bhi pan card ka istemal rail tiket, new sim card lene ke alava kai anya chijo ke liye kar sakta hai.
apko bta de ki pan card number 10 digit ka ek behad khas number hota hai, lekin kya aapne abhi tak ye janne ki kosis ki hai ki pan card ke uper likhe gye in 10 code number ka kya meaning hai, is report me hum pan card par likhe gye unhi code ke bare me janne ka prayas krege.
PAN CARD par likhe gye 10 number ka ye hai mtlb -
Pan card ke uper ankit kiye gye number ke suruvati 3 digit english ke hote hai, pan card ke uper ankit kiye gye numbero ko incom tex department ke dvara tay kiya jata hai, or 4 th digit ke jariye status ki jankari milti hai, halanki 4th digit bhi english ka hi hota hai.
Pan card ke uper likhe gye 4th digit ka mtlb -
P - Single person
F - Ferm
C - Compeny
A - AOP (samuh)
T - Trust
H - HUF (family)
B - Local
J - Artiphicial jyudicial person
G - Goverment
Pan card ke uper likhe gye 5th letter sername ka pahla digit hota hai or 5th digit bhi english ka hi hota hai, iske baad last ke 4 digit number ke hote hai jo 0001 se 9999 tak kuch bhi ho sakta hai, last me pan card number ka last digit alphabet check digit hai, hum aapko bta de ki kisi bhi bank me account kholne, paisa withdrow, diposit karne ya fir tax dene walo ke liye pan card kafi important hai.
lenden ke sath pan card ki jankari sajha karna bhi kafi jaruri ho gya hai. pan card number me jagah ya place ke sath change nahi hota hai. hum apko bta de ayakar adhiniyam 139A ke tahat pan card ko jari kiya jata hai. tax dene wale logo ke liye identicard hone ke sath hi yah pahchan ptra ke tor pr istemal kiya jata hai.
No comments:
Post a Comment